YouTube SEO Optimization- Full Guide Hindi MeinHello dosto, ish mein koi sak nhi hai ke youtube duniya ka dusra sab se big search engine hai jis par har din near about 3M Videos upload hote hai. internet se paise kmane walo ke liye youtube ne ek bahut hi best opportunity provide ki hai jaise ki YouTube partnership jis se har koi paise kma sakta hai, lekin YouTube par video upload kar monetize kar ke paise kamana itna aasan nhi hai kyu ke agar aap youtube se jude kuchh basics nhi janenge to aap youtube se paise nhi kma sakenge, so ishi baat ko dhyaan mein rakhte huye mai aaj ke ye post youtube seo
optimization likh rha hu jis mein aap ko mai hindi ki saral language mein youtube search engine optimization ke bare mein btaunga.
Ish youtube seo tutorial mein aap video ko search engine friendly bnane ke
bare mein janenge kyu ke youtube seo tips ko follow kiye bina aap paise
nhi kma sakte, so aap ko sab se pahle video seo ko samjna hoga and later
on ishko apply karna hoga tabhi aap apne target ko achieve kar paaoge,
so pahle aap step-by-step optimization guide ko padhe aur video ko seo
friendly bnane ke bare mein sikhe.
1. Step ; Find Keyword For Video
This is most
important step that video ke liye keyword find out karna, mostly hum kya
karte hai ke video bnaya aur ushko youtube par upload kar ke share kar
diya, bina kisi keyword aur seo ke. ye bilkul galat trika hai, phir
chahe aap youtube ko marketing ke liye use karte ho ya paise kamane ke
liye use karte ho. agar aap youtube ko lekar passionate hai to aap ke
liye video seo ko janna bahut jarur hai jis mein pahla step hai apne
video ke liye unique keyword find karna.
Video
ke liye keyword find out karne ke liye aap ko mostly 2 tools bahut hi
help kar sakte hai, google keyword planner tool and youtube, lekin agar
aap thoda sharp mid ke sath other factors par bhi gour kroge to behtar
hoga lekin wo baad ki baat hai abhi hum sirf basics par focus krenge.
How To Find Video Keywords
Apne new video ke liye keyword find out karna sab se typical hai but iske liye bahut se tool hai jinki madad se aap video keyword find out kar sakte hai.
Google Keyword Planner Tool > GKP ka use kar aap apne video ke liye keyword search kar sakte ho sath hi competition bhi chek kar sakte ho lekin is process ko bahut hi dhyan se karne ki jarurat hai. itna monthly searching wala keyword aap ke liye best rahega. and later on check out competition for that keyword you select for your video.
Youtube >
youtube waise to koi professional keyword research tool nhi hai lekin jab bat video keywords ki aati hai to aap ko youtube ki help leni hi hogi. youtube se keyword paane ke liye aap search bar mein jaye aur jis topic par aap ka video hai ush se related seed keyword bar mein enter kare aur results dekhe and phir decide kare, aap ke liye konsa keyword best performance de sakta hai aur wahi keyword phir aap google keyword planner mein enter kar competition aur monthly searches check kare ish se aap ko bahut help milegi video seo mein.
2. Create Best Video
Ye
sab se jaruri bat hai aur dhyan dene waali bhi hai, kya aap apne
smartphone mein aise video dekhna pasand karnge jo 3GP mein ho ?
according to me 'nahi'. so video quality bahut hi jyada matter karti hai
aur aap ko youtube seo mein kafi help karti hai, you know achhi chij ko
sab like karte hai aur same yahi thin aap youtube video ke liye bhi
kare. overall video quality youtube seo mein bahut important hai. ab mai
aap ko kuch aise user experience metrics ke bare mein btaunga jo
youtube use karta hai aur hmare video ko good or bad rank deta hai.
User Experience Metrics Jo YouTube Use Karta Hai
Youtube
video aap ne bhi bahut bar dekha hai aur sayad aap ne notice kiya ho ya
nhi lekin mai yaha par apna experience bta deta hu, mai wo vo videos
nhi dekhta jis par likes se jyada dislikes ho kyu jin logo ne video
dekha unhone khud video kitna pasand kiya hai ye baat yaha se pta lag
jati hai aur secondly aap comments jo video par kiye gaye wo bhi user
experience ko bta dete hai, so jo hum dekhte hai aur sochte hai same
wahi youtube bhi karta hai aur wo bhi user experience ko najar andaz nhi
karta aur ushi ke base par kisi video ki rank decide karta hai. yaha
mai ek picture mein kar raha jo user experince ko samajne ke liye bahut
hi helpful hogi.
yaha
maine ish photo mein bahut simple trike ish baat ko samjhana chaha hai
ki youtube konse factors ko use karta hai SERPs ke liye. ab aap ko
detail mein ish bare mein btata hu.
YouTube Video Ranking Factors
Jaisa ki aap ne upar
photo mein dekha ki konse ranking factors hai jo youtube kisi video ko
rank dene ke liye use karta hai jin mein most jo factors hai unko yaha
par mention kar hu taki youtube video search engine optimization mein
help ho.
TITLE TAG INFORMATION
YouTube par video upload karte
time hmare video ka title kya hona chahiye jis se SERPs ke sath ek
newsworthy heading bhi ho jaye aur hame jyada views mile. so keep it on
mind that ek behatar title aap ke videos ko seo mein bahut help karta
hai jitna jyada ho sake title ko unique bnane ki kosis kare ye
optimization ke liye best hota hai aur yahi chij baad mein youtube use
karta hai aur video ko rank deta hai.
AUDIENCE RETENTION
In youtube seo optimization,
audience retention, aap ke video par audience kya react karti hai ye bhi
bahut matter karta hai agar aap ko video audience like kar rahi hai to
ye hmare video ki serps ke liye best hai aur dislike karne par youtube
ko pta lag jaata hai ki viewers ko video pasand nhi hai aur phir rank
down kar di jaati hai so hmesa audience ko dhyaan mein rakh kar hi video
bnaye jo unhe psnd aaye beat seo practice hogi.
KEYWORD IN DESCRIPTION TAG
video optimization
men\title tag aur audience retention ke baad important factor hai
keywords ka video description mein hona. agar aap ne video ke
description mein keywords ka sahi use kiya hai to ye best hai for SERPs
in youtube and google .
TAGS
youtube par video upload kare to tags ka use jarur kare ish se serps mein kaafi help milti hai, aur views bhi increase hote hai.
VIDEO LENGTH
video length youtube seo ke liye sab se
important hai agar aap ka bnaya hua video 5 minutes se kam length ka hai
to aap ke video ko high rank nhi milegi aur seo ke point of view se bhi
ye khrab hoga, so jab bhi aap video bnaye ushki length ko 5 minutes se
above rakhne ki kosis kare ye aap ke video ke search engine optimization
process ke liye best rahega.
NUMBER OF SUBSCRIBER AFTER WATCHING
video ko dekhne
ke baad kitne log aap ke channel ko subscribe karte hai ye bhi bahut
jyada jruri hai ish se aap ke youtube channel ko YOUTUBE aur achhi
priority deta hai agar views increase hone ke channel subscriber number
mein growth nhi ho rhi hai to youtube channel ko down kar deta hai aur
ye factor youtube use karta hai so keep in mind it.
COMMENTS
Jaisa ki maine upar apna khud experience
btaya hai aap bhi sayad ish baat par jarur dhyaan dete honge, positive
comments aap ke youtube video aur seo dono ko bahut jyada effect karte
hai agar positive comments hai to youtube aap ke video ko top par rank
karwayega otherwise user experience ko dhyaan mein rakh kar down kar
dega. ye sab aap ke video ki quality aur topic par depend karta hai.
LIKES & DISLIKES
likes and dislike number bhi
youtube ranking factors ka important hissa hai so ish baat par bhi
dhyaan de aur jyada se jyada likes aaye ish baat par gour kar ke video
bnaye.
SHARES
video sharing aap ke views ko badhane ke sath aap ke
channel se related har chij ko effect karti hai. more sharing, high
SERPs. ishke liye aap apne channel se related other social accounts bna
sakte ho jo sirf aap ke youtube channel ke liye hi ho aur audience bhi
aap ke youtube channel ke niche se related ho both are important.
THUMBS UP/ THUMBS DOWN
thumbs ups and thumbs down, ye bhi
aap ke channel aur video dono ke liye jarur hai jitna jyada ho thumbs up
par focus kare aur thumbs down kyu aaye ish baat ko seriously le aur
next time galati ko dohraaye nhi.
3 YouTube SEO Ko Dhyan Mein Rakhte Huye Video Upload kare
Hera's
hoe to extract the most SEO value from you video, in this list i am
going to share with you some killer tips which w'll help you in
optimization.
Video Filename : jab aap sure ho jaye ki aap ne upar btayi huyi sabhi bato ko follow kar liya hai to ab time hai youtube par video ko seo ke sath upload karne ka. Is process mein sab se pahla kaam hai video file name change karne ka. so apne most sur desire keyword ka use karte huye video file name set kare.
For example: 20-10-2013.mp4 (wrong)
File_name_xyz.mp4 (right)
File_name_xyz.mp4 (right)
Video Title : Aap ke video ka title 5 words se long hona chahiye. ish se aap achhe se apne video ke title mein keyword add kar paaoge. title mein apne video ka sab se main keyword starting mein use kare ye seo ke liye better hota.
Description : video ka description bahut hi important hota hai yahi wo place of keyword hai jaha aap ko sab se jyada dhyaan rakhte huye apne keywords ko description mein add karna hota hai.1. Video description ke starting ke 30 words mein keyword ko 2 times use kare.
2. Unique title banane ke liye newsworthy heading ka use kare.
3. Apne description ko 250 words mein hi rakhe.
4. Keyword ko sirf 4-5 times hi use kare.
Ye optimization tips google, youtube ko searching ke liye indicate karne ke liye kaafi hai that aap ka video kis niche ka hai.
Tags : Tags ke bare mein maine pahle hi btaya tha, aap maximum 500 tags ka use kar sakte hai. lekin ek baat par jarur gour kare jab bhi tags ko mention kare ush time sabhi tags aap ke video niche se related hone chahiye.Now, aap ne sabhi youtube seo tips ko follow kar liya hai lekin ab aap apne videos aur channel ko regular monitor kare aur videos ko jyada se jyada share kare jiske liye aap yahoo answers, quora, facebook, google, etc social platforms ka use kar sakte hai ish aap ke video ko achha backlink milega aur SERPs strong hogi.
agar aap ka ish post se related koi sawal ya sujhav hai to aap comment ke through puchh sakte hai aur sath agar aap ko ye post pasand aaya hai to ishe social media par share kare jis ke liye options niche diye gaye hai. Thank for reading youtube search engine optimization tips in hindi.
No comments:
Write comments