Wednesday, September 19, 2018

Google play Store No Connection Retry Error Fix

Goggle Play Store No Connection Retry Error Ko Fix Kaise Kare

No connection retry error problem ko kaise fix kare

Hallo dosto aaj mai aap ko android phone ki ek aisi problem ka solution btaunga jo ki lagbhag sabhi ke sath hoti hai. Ye problem hai google play store ki jaha kayi baar "No Connection" aa jaata hai aur hum phir phon ki settings ko change karte hai lekin sahi se nhi ka kar paate hai. Aap ki ishi problem ko dhyan mein rkhte huye mai ye post likh rha hu jo aap ke liye 100% kaam ki sabit hogi. Phle mere phon mein bhi yahi problem thi lekin baad mein mane ishka solution nikal liya aur wahi mai aap ke sath bhi share kar rha hu. To jante hai ki no connection google play store mein likha hua kyo aata hai aur ishka karan kya hai. Ye aisi problem hai jo phon mein kabhi bhi ho sakti hai jiske kayi technical issues ho sakte hai. To jante hai ki ish problem ko kaise solve kare.

Google play store se no connection retry error ko thik kaise kare

● Time Aur Date Settings Ko Fix Kare
Time aur date set kare

Network problem ko fix karne ke liye aap sab se phle apne phone ki setying mein jaaye aur waha time aur date ko chek kare agar sahi to rahne de agar sahi nhi hai to aap time aur date ko sahi kare.
■Also Read : Google play store mein "BF-BPA-09" Error ko kaise thik kare
■ Also Read :"Can't establish a reliable data connection to the server" error ko kaise fix kare

●Google Play Store App Ke Cache Clear Kare
Time aur date ko set karne ke bad ab aap google play store app ke cache clear kare. App cache clear karne se app refresh ho jayega jis se network thik se kaam krega. App cache clear krne ke liye aap settings> application> google play store app> click> click to clear cache.
App Cache clear kare

●Wifi Ke DNS Settings Ko Change Kare
Google play store ke cache clear karne ke baad ab aap wifi ki dns settings ko update kare jo ki bahut hi jyada important fact hai. DNS settings ko update karne ke liye aap ye follow kare ye tips
●Go to settings
●select wifi networks
●ab aap jo bhi network available ush par hold kare
●select modify network
● ab aap show advance setting par click kare 
● click DHCP choose static
●ip address 192.168.1.128
●gateway 192.168.1.1
●network prefix length 24
●DNS1-8.8.8.8
●DNS2-8.8.4.4
Ab aap settings ko save kare.

●Google Account Ko Change Kare Ya Re Login Kare
Ab aap apne google account ko ya to chane kare ya Re-login kare. Change ya Re-login karme ke apne phone ki settings mein jayenaur synchronization account par click kare aur apna google account remove ya change kar le.


● Updates Ko Uninsttall Kare
Agar aap ke android cell phone mein google ne application update karne ke liye notification send kar rakhe hai to unko stop kare  stop karne ke liye aap google play appsettings mein jaaye aur press uninsttall par click kare ab aap ki application updates uninsttall ho gyi hai


●Proxy Aur Vpn Se Related Software Ko Delet Kare
Agar aap ne apne android phone mein kisi bhi type ka koi network se related application install kiya hai to ushko uninsttall kar de. Ab aap phone ki network settings mein jaaye aur network par click kare ushke baad gprs settings par click kre ke proxy ko reset kar de.

●Host files Ko Delet Kare
Ab aap ka agla kaam hai apne file manager se aisi files ko delet krna jiski wajah se ye problem hoti hai. Hot files ko Delet karne ke liye aap
■>>>>>> Open file mamager
□>>>>>>browse to root/system/tec
□>>>>>> delet host files

● Factory Reset Kare
Ab aap ka sab end ka kaam hai apne phon ko reset krna hai. Agar upar btayi gyi sabhi tricks kaam nhi karti hai to aap apne phone ko reset kare & I am sure ab aap ke phone network ki problem dur ho jayegi.
[Note: phone ko reset krne se phle aap apne personal data ka back bma le ya phir dusre phone mein transfer kar de ushke bad hi reset kare ek baat aur dhyan rakhe ki aap ko apne gmail id ke username aur password bhi yaad rkhne honge kyu ke phone ki sabhi setgings reset hogi to google account bhi remove hoga jisko reset krne ke baad wapas login krna hai.]

To dosto ab agar aap no network connection retry error se related koi sawal hai to comment kare aur agar aap ne article pdhne ke baad apni problem ka 100% solution paya hai to social media par apne dosto ke sath share jarur share kare jis se agar unko kbhi problem hogi to wo help le sake thank you so much.

No comments:
Write comments